People who are crazy enough to think they can change the world are the ones who do. -Apple
Your subscription could not be saved. Please try again.
Your subscription to raagabox has been successful.

A sample of other songs in raagabox lyrics * 2 *

Chhui Mui Si Tum
Lyricist: Shyam Anuragi
Tag: other
Video:
ek ladki mere khwaabon me aati hai, woh tum ho, woh tum ho
meri priya tum hi to ho
chhui mui si tum lagati ho, phulo jaisi hasati ho
chhui mui si tum lagati ho, phulo jaisi hasati ho
jis din se dekha hai tum meri saanso me, dil me rahati ho
chhui mui si tum lagati ho, phulo jaisi hasati ho

tum ho pari yaa apsara, tum ho sabhi se juda
hotho pe hai kamsin si bholi hai har ada
tum ho pari yaa apsara, tum ho sabhi se juda
hotho pe hai kamsin si bholi hai har ada
sharmaake bin bole aankho se afsaane lakho me kahati ho
chhui mui si tum lagati ho, phulo jaisi hasati ho

pehali nazar ka hai asar, dil ye divaana huwa
hairaan hu mai yeh sochakar, tum mai gajab aisa kya
pehali nazar ka hai asar, dil ye divaana huwa
hairaan hu mai yeh sochakar, tum mai gajab aisa kya
dil mera mujhase hi puchhe ye, tum hi kyon apni lagti ho
chhui mui si tum lagati ho, phulo jaisi hasati ho

saanson ki tum sargam mujhme ho tum hardam
dil se aati hai sada maine kiya ye faisala
rahunga tumhara sada
betaabi dil mein hai kab mujhko jaaneja apna kehti ho
chhui mui si tum lagati ho, phulo jaisi hasati ho
jis din se dekha hai tum meri saanso me, dil me rahati ho
chhui mui si tum lagati ho, phulo jaisi hasati ho
Ek Raja Hai Ek Rani Hai
Lyricist: Sameer
Tag: Hindi
Audio: https://www.saavn.com/s/song/hindi/Ek-Rishtaa/Ek-Raja-Hai-Ek-Ran
ek raaja hai ek raani hai paas paisa hai aur javaani hai
aur kya zidagaani hai, aur kya zidagaani hai
sab nasibo ki ye kahani hai, teri chahat ki sab nishani hai
aur kya zidagaani hai, aur kya zidagaani hai

ghar hai ek mandir tum mere devta ho
maine rab se maagi vahi tum duaa ho
kaun hame duniya me itna pyar dega
itani khushi aur aisa sansaar dega
mujhe rehna hai inhi charno me, umr baaho me yun bitani hai
aur kya zidagaani hai, aur kya zidagaani hai

aisi apni dosti hai aisa dostaana
yad rakhega hamko saara zamaana
dosti pe bilkul na karna bharosa
dost banke dete hai log yahan dhokha
dosti ham na kabhi todenge aaj hamne ye dil me thani hai
aur kya zidagaani hai, aur kya zidagaani hai

aise gulshan to baharo me khila karte hai
aise maa baap nasibo se mila karte hai
maine har roj duaa maagi hai teri khatir
mera har khvaab ban gaya hai hakikat aakhir
in rishto ko ham nibhayege, apni puja bhi aajmaani hai
aur kya zidagaani hai, aur kya zidagaani hai

ek raaja hai ek raani hai, teri chahat ki sab nishani hai
sab nasibo ki ye kahani hai, hai karam uska meharbani hai
aur kya zidagaani hai, aur kya zidagaani hai
aur kya zidagaani hai, aur kya zidagaani hai